॥ Doha ॥
Bando Santoshi Charan,
Riddhi Siddhi Datar ।
Dhyan Dharat Hi Hott Nar,
Dukh Sagar Se Paar ॥
Bhaktan Ko Santosh De,
Santoshi Tav Nama ।
Kripa Karahu Agdamba,
Aab Aaya Tere Dham ॥
॥ Chaupai ॥
Jai Santoshi Maat Anupam ।
Shanti Daayani Roop Manoram ॥ 1 ॥
Sundar Varan Chaturbhuj Rupa ।
Vaish Manohar Lalit Anupa ॥ 2 ॥
Shwetambar Roop Manhaari ।
Maa! Tumhari Chavi Jag Se Nayari ॥ 3 ॥
Divy Swarup Aayat Lochan ।
Darshan Se Ho Sankat Mochan ॥ 4 ॥
Jai Ganesh Ki Suta Bhavani ।
Ridhi Sidhi Ki Putri Gyani ॥ 5 ॥
Aagam Aagochar Tumhari Maya ।
Sab Par Karo Kripa Ki Chaya ॥ 6 ॥
Naam Aanek Tumharo Mata ।
Aakhil Vishv Hai Tumko Dhayata ॥ 7 ॥
Tumne Roop Aaneko Dhare ।
Ko Kahi Sake Charitra Tumhare ॥ 8 ॥
Dham Aanek Kahan Tak Kahiye ।
Sumiran Tab Karke Sukh Lehiye ॥ 9 ॥
Vindiyachal Mai Vindiyavasini ।
Koteshwar Saraswati Suhasini ॥ 10 ॥
Kalkate Mai Tu Hi Kali ।
Dusht Nashini Mahakarali ॥ 11 ॥
Samhal Pur Bahuchara Kahati ।
Bhaktjano Ka Dukh Mitati ॥ 12 ॥
Jwala Ji Mai Jwala Devi ।
Pujat Nitay Bhakt Jan Savi ॥ 13 ॥
Nagar Bambai Ki Maharani ।
Maha Lakshmi Tum Kalyani ॥ 14 ॥
Madura Mai Meenakshi Tum Ho ।
Sukh-dukh Sabki Sakshi Tum Ho ॥ 15 ॥
Rajnagar Mai Tum Jagdambay ।
Banee Bhradkali Tum Ambe ॥ 16 ॥
Pavagadh Mai Durga Mata ।
Akhil Vishav Tera Yash Gatta ॥ 17 ॥
Kashi Puradhishwari Mata ।
Aaanpurna Naam Suhata ॥ 18 ॥
Sarwanand Karo Kaliyani ।
Tumhi Sharda Amrit Vani ॥ 19 ॥
Tumhari Mahima Jal Mai Thal Mai ।
Dukh Darid Sab Meto Pal Mai ॥ 20 ॥
Jete Risiwar Aur Munisha ।
Narad Dev Aur Devesha ॥ 21 ॥
Es Jagati Ke Nar Aur Nari ।
Dhayan Dharat Hai Maat Tumhari ॥ 22 ॥
Japar Kripa Tumhari Hoti ।
Veh Patta Bhakti Ka Moti ॥ 23 ॥
Dukh Darid Sankat Mit Jata ।
Dhayan Tumhara Jo Jan Dhayata ॥ 24 ॥
Jo Jan Tumhari Mahima Gave ।
Dhayan Tumhara Kar Such Pave ॥ 25 ॥
Jo Maan Rakhe Sudh Bhavana ।
Taki Puran Karo Kamna ॥ 26 ॥
Kumti Nivari Sumati Ki Datri ।
Jayati Jayati Mata Jagdhatri ॥ 27 ॥
Sukarwar Ka Diwas Suhavan ।
Jo Vart Kare Tumhara Paven ॥ 28 ॥
Guud Chole Ka Bhog Lagave ।
Katha Tumhari Sune Sunnave ॥ 29 ॥
Vidhivat Puja Kare Tumhari ।
Phir Prasad Pave Subhkari ॥ 30 ॥
Shakti Samrath Ho Jo Dhan Ko ।
Dan Dakshina De Vipran Ko ॥ 31 ॥
Ve Jagti Ke Nar Aur Nari ।
Maanvanchit Phal Pave Bhari ॥ 32 ॥
Jo Jan Sharan Tumhari Jave ।
so Nishchaye Bhav Se Tar Jave ॥ 33 ॥
Tumharo Dyan Kumari Dhayave ।
Nishchaye Maanvanchit Var Pave ॥ 34 ॥
Sadhva Pooja Kare Tuhari ।
Amar Suhagin Ho Wo Nari ॥ 35 ॥
Vidhva Dhar Ke Dhyan Tumhara ।
Bhavsagar Se Utre Para ॥ 36 ॥
Jayati Jayati Jai Sankat Harni ।
Vidhan Vinashan Mangal Karni ॥ 37 ॥
Hum Par Sankat Hai Aati Bhari ।
Vegi Khabar Lo Maat Hamari ॥ 38 ॥
Nishidin Dhayan Tumharo Dhayta ।
Dehi Bhakti Var Hum Ko Mata ॥ 39 ॥
Yeh Chalisa Jo Nit Gave ।
so Bhavsagar Se Tar Jave ॥ 40 ॥