Myfayth

Vishnu Chalisa (विष्णु चालीसा)

॥ Doha ॥

Vishnu Sunie Vinay Sevak Ki Chitalay ।

Kirat Kuchh Varnan Karoon Dijai Gyan Batay ।

॥ Chaupai ॥

Namo Vishnu Bhagwan Kharari ।

Kasht Nashavan Akhil Bihari ॥

Prabal Jagat Mein Shakti Tumhari ।

Tribhuvan Phail Rahi Ujiyari ॥

Sundar Roop Manohar Soorat ।

Saral Swabhav Mohani Moorat ॥

Tan Par Pitambar Ati Sohat ।

Baijanti Mala Man Mohat ॥ 4 ॥

Shankh Chakr Kar Gada Biraje ।

Dekhat Daity Asur Dal Bhaje ॥

Satya Dharm Mad Lobh Na Gaje ।

Kam Krodh Mad Lobh Na Chhaje ॥

Santabhakt Sajjan Manaranjan ।

Danuj Asur Dushtan Dal Ganjan ॥

Sukh Upajay Kasht Sab Bhanjan ।

Dosh Mitay Karat Jan Sajjan ॥ 8 ॥

Pap Kat Bhav Sindhu Utaran ।

Kasht Nashakar Bhakt Ubaran ॥

Karat Anek Roop Prabhu Dharan ।

Keval Aap Bhakti Ke Karan ॥

Dharani Dhenu Ban Tumahin Pukara ।

Tab Tum Roop Ram Ka Dhara ॥

Bhar Utar Asur Dal Mara ।

Ravan Adik Ko Sanhara ॥ 12 ॥

Aap Varah Roop Banaya ।

Haranyaksh Ko Mar Giraya ॥

Dhar Matsy Tan Sindhu Banaya ।

Chaudah Ratanan Ko Nikalaya ॥

Amilakh Asuran Dwand Machaya ।

Roop Mohani Aap Dikhaya ॥

Devan Ko Amrt Pan Karaya ।

Asuran Ko Chhavi Se Bahalaya ॥ 16 ॥

Kurm Roop Dhar Sindhu Majhaya ।

Mandrachal Giri Turat Uthaya ॥

Shankar Ka Tum Phand Chhudaya ।

Bhasmasur Ko Roop Dikhaya ॥

Vedan Ko Jab Asur Dubaya ।

Kar Prabandh Unhen Dhundhwaya ॥

Mohit Bankar Khalahi Nachaya ।

Usahi Kar Se Bhasm Karaya ॥ 20 ॥

Asur Jalandhar Ati Baldai ।

Shankar Se Un Kinh Ladai ॥

Har Par Shiv Sakal Banai ।

Keen Sati Se Chhal Khal Jai ॥

Sumiran Keen Tumhen Shivarani ।

Batalai Sab Vipat Kahani ॥

Tab Tum Bane Munishwar Gyani ।

Vrinda Ki Sab Surati Bhulani ॥ 24 ॥

Dekhat Tin Danuj Shaitani ।

Vrinda Aay Tumhen Laptani ॥

Ho Sparsh Dharm Kshati Mani ।

Hana Asur Ur Shiv Shaitani ॥

Tumne Dhruv Prahalad Ubre ।

Hirankush Adik Khal Mare ॥

Ganika Aur Ajamil Tare ।

Bahut Bhakt Bhav Sindhu Utare ॥ 28 ॥

Harahu Sakal Santap Hamare ।

Krpa Karahu Hari Sirajan Hare ॥

Dekhahun Main Nij Darash Tumhare ।

Deen Bandhu Bhaktan Hitkare ॥

Chahat Apka Sevak Darshan ।

Karahu Daya Apani Madhusoodan ॥

Janoon Nahin Yogy Jap Poojan ।

Hoy Yagy Stuti Anumodan ॥ 32 ॥

Shiladaya Santosh Sulakshan ।

Vidit Nahin Vratabodh Vilakshan ॥

Karahun Apka Kis Vidhi Poojan ।

Kumati Vilok Hot Dukh Bhishan ॥

Karahun Pranam Kaun Vidhisumiran ।

Kaun Bhanti Main Karahu Samarpan ॥

Sur Muni Karat Sada Sevakai ।

Harshit Rahat Param Gati Pai ॥ 36 ॥

Deen Dukhin Par Sada Sahai ।

Nij Jan Jan Lev Apnai ॥

Pap Dosh Santap Nashao ।

Bhav-bandhan Se Mukt Karao ॥

Sukh Sampatti De Sukh Upjao ।

Nij Charanan Ka Das Banao ॥

Nigam Sada Ye Vinay Sunavai ।

Padhai Sunai So Jan Sukh Pavai ॥ 40 ॥

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top