Myfayth

Shri Jhulelal Chalisa (श्री झूलेलाल चालीसा)

॥ Doha ॥

Jai Jai Jal Devta,

Jai Jyoti Swaroop ।

Amar Udero Laal Jai,

Jhulelal Anoop ॥
READ MOREPlayback speed1x Normal00:00/00:00Skip
॥ Chaupai ॥

Ratanlal Ratnani Nandan ।

Jayati Devki Sut Jag Vandan ॥

Dariyashah Varun Avtari ।

Jai Jai Laal Sain Sukhkari ॥

Jai Jai Hoy Dharm Ki Bhira ।

Jinda Peer Hare Jan Peera ॥

Sanwat Das Sau Saat Manjhra ।

Chaitra Shukla Dwitiya Bhagu Vaara ॥ 4 ॥

Graam Nasarpur Sindh Pradesha ।

Prabhu Avtare Hare Jan Kalesha ॥

Sindhu Veer Thattha Rajdhani ।

Mirkhashah Naoop Ati Abhimani ॥

Kapati Kutil Kroor Koovichari ।

Yavan Malin Man Atyachari ॥

Dharmantaran Kare Sab Kera ।

Dukhi Huye Jan Kasht Ghanera ॥ 8 ॥

Pitavaya Haakim Dhindhora ।

Ho Islam Dharm Chahunora ॥

Sindhi Praja Bahut Ghabrai ।

Isht Dev Ko Ter Lagai ॥

Varun Dev Pooje Bahumbhati ।

Bin Jal Ann Gaye Din Raati ॥

Sindhi Teer Sab Din Chalisa ।

Ghar Ghar Dhyaan Lagaaye Isha ॥ 12 ॥

Garaj Utha Nad Sindhu Sahasa ।

Chaaro Aur Utha Nav Harasha ॥

Varundev Ne Suni Pukaara ।

Prakate Varun Meen Asvaara ॥

Divya Purush Jal Brahma Swarupa ।

Kar Pushtak Navaroop Anoopa ॥

Harshit Huye Sakal Nar Naari ।

Varundev Ki Mahima Nyaari ॥ 16 ॥

Jai Jai Kaar Uthi Chaahunora ।

Gai Raat Aane Ko Bhaunra ॥

mirakhashah Naoop Atyachari ।

nasht Karoonga Shakti Saari ॥

Door Adharm, Haran Bhoo Bhaara ।

Shighr Nasarapur Mein Avtaara ॥

Ratanraay Ratanaani Aangan ।

Kheloonga, Aaoonga Shishu Ban ॥ 20 ॥

Ratanaraay Ghar Khushi Aai ।

Jhulelal Avtaare Sab Dey Badhai ॥

Ghar Ghar Mangal Git Suhaye ।

Jhulelaal Haran Duhkh Aaye ॥

Mirakhashaah Tak Charcha Aai ।

Bheja Mantri Krodh Adhikai ॥

Mantri Ne Jab Baal Nihaara ।

Dhiraj Gaya Hriday Ka Saara ॥ 24 ॥

Dekhi Mantri Sain Ki Lila ।

Adhik Vichitr Vimohan Shila ॥

Balak Dhikha Yuva Senani ।

Dekha Mantri Buddhi Chakraani ॥

Yoddha Roop Dikhe Bhagvaana .

Mantri Hua Vigat Abhimaana ॥

Jhulelaal Diya Aadesha ।

Ja Tav Naoopati Kaho Sandesha ॥ 28 ॥

Mirakhashaah Naoop Taje Gumaana ।

Hindoo Muslim Ek Samaana ॥

Band Karo Nity Atyaachaara ।

Tyaago Dharmaantaran Vichaara ॥

Lekin Mirakhashaah Abhimaani ।

Varunadev Ki Baat Na Maani ॥

ek Divas Ho Ashwa Savaara ।

jhulelaal Gaye Darbaara ॥ 32 ॥

Mirakhashaah Naoop Ne Aagya Di ।

Jhulelaal Banao Bandi ॥

Kiya Swarup Varun Ka Dhaaran ।

Chaaro Aur Hua Jal Plaavan ॥

Darbaari Doobe Utraaye ।

Naoop Ke Hosh Thikaane Aaye ॥

Naoop Tab Pada Charan Mein Aai ।

Jai Jai Dhany Jai Sain ॥ 36 ॥

Vaapis Liya Naoopati Aadesha ।

Door Door Sab Jan Klesha ॥

Sanvat Das Sau Bis Manjhaari ।

Bhaadr Shukl Chaudas Shubhakaari ॥

Bhakto Ki Har Aadhi Vyaadhi ।

Jal Mein Li Jaladev Samaadhi ॥

Jo Jan Dhare Aaj Bhi Dhyaana ।

Unka Varun Kare Kalyaana ॥ 40 ॥

॥ Doha ॥

Chalisa Chalis Din Path Kare Jo Koy ।

Paave Manavanchhit Phal Aru Jivan Sukhmay Hoy ॥

॥ Om Shri Varunay Namah ॥

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top