॥ Doha ॥
Sheesh Nava Arihant Ko,
Siddhan Ko, Karoon Pranam ।
Upadhyay Aachary Ka,
Le Sukhkari Naam ॥
READ MOREPlayback speed1x Normal00:00/00:00Skip
Sarv Sadhu Aur Saraswati,
Jin Mandir Sukhkaar ।
Aadinath Bhagwan Ko,
Man Mandir Mein Dhaar ॥
॥ Chaupai ॥
Jai Jai Aadinath Jin Swami ।
Teenkaal Tihoon Jag Mein Naami ॥
Vesh Digambar Dhaar Rahe Ho ।
Karmo Ko Tum Maar Rahe Ho ॥
Ho Sarvagya Baat Sab Jaano ।
Saari Duniyan Ko Pehchano ॥
Nagar Ayodhya Jo Kahalaye .
Raja Nabhiraj Batlaye ॥ 4 ॥
Marudevi Mata Ke Udar Se ।
Chait Vadi Navami Ko Janme ॥
Tumne Jag Ko Gyan Sikhaya ।
Karmbhoomi Ka Beej Upaya ॥
Kalpavriksh Jab Lage Bichharne ।
Janta Aai Dukhda Kahane ॥
Sab Ka Sanshay Tabhi Bhagaya ।
Soorya Chandra Ka Gyan Karaya ॥ 8 ॥
Kheti Karna Bhi Sikhlaya ।
Nyaya Dand Aadik Samjhaya ॥
Tumne Raaj Kiya Neeti Ka ।
Sabak Aapse Jag Ne Seekha ॥
Putra Aapka Bharat Bataya ।
Chakravarti Jag Mein Kahalaya ॥
Bahubali Jo Putra Tumhare ।
Bharat Se Pahale Moksh Sidhare ॥ 12 ॥
Suta Aapki Do Batlai ।
Brahmi Aur Sundari Kahalai ॥
Unko Bhi Vidhya Sikhlai ।
Akshar Aur Ginti Batlai ॥
Ek Din Raajsabha Ke Andar ।
Ek Apsara Naach Rahi Thi ॥
Aayu Uski Bahut Alp Thi ।
Isliye Aage Nahin Nach Rahi Thi ॥ 16 ॥
Vilay Ho Gaya Uska Satwar ।
Jhat Aaya Vairagya Umadkar ॥
Beto Ko Jhat Paas Bulaya ।
Raaj Paat Sab Mein Bantvaya ॥
Chhod Sabhi Jhanjhat Sansari ।
Van Jane Ki Kari Taiyari ॥
Raav Hajaron Saath Sidhae ।
Raaj Paat Taj Van Ko Dhaye ॥ 20 ॥
Lekin Jab Tumne Tap Kina ।
Sabne Apna Rasta Lina ॥
Vesh Digambar Tajakar Sabne ।
Chhaal Aadi Ke Kapde Pahane ॥
Bhookh Pyas Se Jab Ghabraaye ।
Phal Aadik Kha Bhookh Mitaye ॥
Teen Sau Tresath Dharm Phailaaye ।
Jo Ab Duniyan Mein Dikhlaaye ॥ 24 ॥
Chhai: Mahine Tak Dhyan Lagaye ।
Phir Bhajan Karne Ko Dhaaye ॥
Bhojan Vidhi Jaane Nahi Koy ।
Kaise Prabhu Ka Bhojan Hoy ॥
Isi Tarah Bas Chalte Chalte ।
Chhah Mahine Bhojan Bin Beete ॥
Nagar Hastinapur Mein Aaye ।
Raja Som Shreyans Bataye ॥ 28 ॥
Yaad Tabhi Pichhala Bhav Aaya ।
Tumko Phauran Hi Paddhaaya ॥
Ras Ganne Ka Tumne Paaya ।
Duniya Ko Updesh Sunaya ॥
Paath Kare Chalisa Din ।
Nit Chalisa Hi Baar ॥
Chandkhedi Mein Aay Ke ।
Kheve Dhoop Apaar ॥ 32 ॥
Janm Daridri Hoy Jo ।
Hoy Kuber Saman ॥
Naam Vansh Jag Mein Chale ।
Jinke Nahin Santan ॥
Tap Kar Keval Gyan Paaya ।
Moksh Gaye Sab Jag Harshaya ॥
Atishay Yukt Tumhara Mandir ।
Chandakhedi Bhanvare Ke Andar ॥ 36 ॥
Uska Yah Atishay Batlaya ।
Kasht Klesh Ka Hoy Saphaya ॥
Maantung Par Daya Dikhai ।
Janjire Sab Kaat Girai ॥
Rajsabha Mein Maan Badhaya ।
Jain Dharm Jag Mein Phailaya ॥
Mujh Par Bhi Mahima Dikhalao ।
Kasht Bhakt Ka Door Bhagao ॥ 40 ॥
॥ Sortha ॥
Path Kare Chalisa Din,
Nit Chalisa Hi Baar ।
Chandkhedi Mein Aay Ke,
Kheve Dhoop Apar ॥
Janm Daridri Hoy Jo,
Hoy Kuber Saman ।
Naam Vansh Jag Mein Chale,
Jinke Nahin Santan ॥