Myfayth

Shri Baba Balaknath Aarti (ॐ जय कलाधारी हरे – बाबा बालक नाथ आरती)

ॐ Jai Kaladhari Hare,

Swami Jai Paunahari Hare,

Bhakt Janon Ki Naiya,

Das Janon Ki Naiya,

Bhav Se Paar Kare,

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

Balak Umar Suhani,

Naam Balak Natha,

Amar Hue Shankar Se,

Sun Ke Amar Gatha ।

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

Sheesh Pe Bal Sunaihari,

Gale Rudrakshi Mala,

Hath Mein Jholi Chimata,

Aasan Mrgashala ।

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

Sundar Seli Singee,

Vairagan Sohe,

Gau Palak Rakhavalak,

Bhagatan Mann Mohe ।

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

Ang Bhabhoot Ramai,

Murti Prabhu Rangi,

Bhay Bhanjan Duhkh Nashak,

Bharathari Ke Sangi ।

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

Rot Chadhat Raviwar Ko,

Phal, Phool Mishri Mewa,

Dhup Deep Kudanun Se,

Aanand Siddh Dewa ।

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

Bhaktan Hit Avatar Liyo,

Prabhu Dekh Ke Kallu Kala,

Dusht Daman Shatruhan,

Sabake Pratipala ।

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

Shri Balak Nath Ji Ki Aarti,

Jo Koi Nit Gave,

Kahate Hai Sewak Tere,

Man Vancchhit Phal Pawe ।

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

ॐ Jai Kaladhari Hare,

Swami Jai Paunahari Hare,

Bhakt Janon Ki Naiya,

Das Janon Ki Naiya,

Bhav Se Paar Kare,

ॐ Jai Kaladhari Hare ॥

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top